Paroles de Tanha

Jinn The Rapper

pochette album Tanha
Voir sur Itunes

sonnerie téléphone portable pour Tanha

(jinn the rapper)
Adhuri hai zindagi, dil main kisay main basaon
Yahan to log hain bohot, lekin kisay main bataon
K jurti hain lakeerain jab milti hai khushi
Andheron main dhudo to milti hai bebasi
Aesi he kahani bas thori se purani
Aj tak mene bhi kisi ko nahin hai sunai
Lekin us se pehle tumse kuch puchta hun sawaal
Jawab deke kya unka kar paogay kamaal?
Sath dene wala to saya hai phir apna kyun paraya hai?
Jab dukhta hai dil phir aankhon kyun rulaya hai?
Kyun urr raha hai panchi jab chal rahi hai hawa?
Jurm karne k baad kis ko hoti hai parwa?
Kyun hota hai pyar jin se bantay hain rishtay?
Dukh deta hai insaan kon hotay hain farishtay?
Aesi he hai meri soch, na rok mujhay tok
Chalagaya hun main door ab kese aon main lot

(sarfraz) 2x
Tanha hun main, tanha hai dil
Tanha hun main, tanha tanha zindagi

(omer ali)
Khushi hai kahan, mangta phirun main bheek
Log boltay hain omer beta sab hojayega theek
Karne bethun agar meri zindagi k hazaar khulasay
Meethi churi se kaat'tay hain aur phir dete dilasay
Kitni bhi kamalo dolat par wo kaam ki nahin
Fikar kartay shuruat ki, anjaam ki nahin
Duniya bari zalim hai, deti baray zakham hai
Waqt bhi aik marham hai, zarurat baam ki nahin
Sakoon aesi cheez hai jo kahin bikta nahin
Chahay jitni bhi ho dolat uski keemat daam ki nahin
Tamsha mera ban raha aur sab tamashgeen hain
Kasam se yaar ye koi aakhri kism k kameen hain
Paisay k hain pujari ghanta mera ye naik hain
Behrupiye hain saray, kon ikhlaq-e-haseen hain?
Kese kati raatain aur kese din guzaray
Jo dil main tha kehdia hip hop k saharay

(sarfraz) 4x
Tanha hun main, tanha hai dil
Tanha hun main, tanha tanha zindagi

Les autres musiques de Jinn The Rapper